ek chehra hadf banaane par | एक चेहरा हदफ़ बनाने पर - J E Najm

ek chehra hadf banaane par
dhar liya kyun hamein nishaane par

sochta hoon ye kya tasalsul hai
toot jaata hai saans aane par

saare moti bikharte jaate hain
ek dhaage ke toot jaane par

hijr peeche hi pad gaya mere
chand lamhon ko gudgudaane par

ungaliyaan nazm khud pe uthne de
tu na ungli utha zamaane par

एक चेहरा हदफ़ बनाने पर
धर लिया क्यों हमें निशाने पर

सोचता हूँ ये क्या तसलसुल है
टूट जाता है साँस आने पर

सारे मोती बिखरते जाते हैं
एक धागे के टूट जाने पर

हिज्र पीछे ही पड़ गया मेरे
चंद लम्हों को गुदगुदाने पर

उँगलियाँ 'नज्म' ख़ुद पे उठने दे
तू न उँगली उठा ज़माने पर

- J E Najm
0 Likes

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by J E Najm

As you were reading Shayari by J E Najm

Similar Writers

our suggestion based on J E Najm

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari