ek chehre pe ad gaya hoon main
kis museebat mein pad gaya hoon main
tu samajh hijr meri marzi hai
tu samajh khud bichhad gaya hoon main
jaise gul-daan khizaan ke mausam mein
dekho kitna ujad gaya hoon main
teri islaah ka nateeja hai
is qadar jo bigad gaya hoon main
neelgoon jheel ye bataati hai
teri aankhon ko lad gaya hoon main
एक चेहरे पे अड़ गया हूँ मैं
किस मुसीबत में पड़ गया हूँ मैं
तू समझ हिज्र मेरी मर्ज़ी है
तू समझ ख़ुद बिछड़ गया हूँ मैं
जैसे गुल-दाँ ख़िज़ाँ के मौसम में
देखो कितना उजड़ गया हूँ मैं
तेरी इस्लाह का नतीजा है
इस क़दर जो बिगड़ गया हूँ मैं
नीलगूँ झील ये बताती है
तेरी आँखों को लड़ गया हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by J E Najm
our suggestion based on J E Najm
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari