chhod zanjeer ko duhaai de | छोड़ ज़ंजीर को दुहाई दे - J E Najm

chhod zanjeer ko duhaai de
taaki logon ko bhi sunaai de

kab kaha tha mujhe khudaai de
mere andar se tu dikhaai de

kheench seene se teer dhadkan ka
kheench le aur mujhe rihaai de

teri jaanib suraagh jaayega
jaan-e-man itni mat safaai de

main tiri aankh mein utar paau
is qadar mujh ko bhi rasai de

छोड़ ज़ंजीर को दुहाई दे
ताकि लोगों को भी सुनाई दे

कब कहा था मुझे ख़ुदाई दे
मेरे अंदर से तू दिखाई दे

खींच सीने से तीर धड़कन का
खींच ले और मुझे रिहाई दे

तेरी जानिब सुराग़ जाएगा
जान-ए-मन इतनी मत सफ़ाई दे

मैं तिरी आँख में उतर पाऊँ
इस क़दर मुझ को भी रसाई दे

- J E Najm
0 Likes

Qaid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by J E Najm

As you were reading Shayari by J E Najm

Similar Writers

our suggestion based on J E Najm

Similar Moods

As you were reading Qaid Shayari Shayari