ajeeb baat thi har she'r pur-asar thehra | अजीब बात थी हर शे'र पुर-असर ठहरा

  - Jafar Abbas

ajeeb baat thi har she'r pur-asar thehra
main is ki bazm mein kal raat ba-hunar thehra

hua jo aa ke vo mehmaan ba'ad muddat ke
lahoon mein raqs hua baam par qamar thehra

mumaan'at ka taqaza tha jis se door rahein
chaman mein vo hi shajar sab se baa-samar thehra

junoon ki bheek kahi bhi na mil saki us ko
gada-e-hosh yahan garche dar-b-dar thehra

ajeeb raqs tha bismil ka har tamaashaai
tadap ke dard se yaksar hi be-khabar thehra

aqeedaton ke dhundlakon mein aur kya hota
har ek fiqra yahan us ka mo'tabar thehra

mujhe na qatl karein bas payaam laaya hoon
meri haqeeqat hi kya main to nama-bar thehra

safeena garche kinaare pe ja laga lekin
sawaal ye hai idhar thehra ya udhar thehra

na jaane kitni hi gaddaari bula rahi hain mujhe
har ik qadam pe hai mujh ko naya safar thehra

na dekh paaya koi aankh-bhar ke aaina
khud apna chehra yahan ba'is-e-mafr thehra

thehar ke jis ne bhi kuchh der khud ko dekh liya
vo apni wahshat-e-be-ja ka chaaragar thehra

hai jaane kitne hi pardo mein mahw-e-aaraish
jhalak bhi dekh li jis ne vo deeda-war thehra

har ek shay se mohabbat hai bas ilaaj yahan
bas ek nuskha yahi hai jo kaargar thehra

shuruat hua tha abhi aur qareeb khatm hai ab
ye zindagi ka safar kitna mukhtasar thehra

अजीब बात थी हर शे'र पुर-असर ठहरा
मैं इस की बज़्म में कल रात बा-हुनर ठहरा

हुआ जो आ के वो मेहमान बा'द मुद्दत के
लहूँ में रक़्स हुआ बाम पर क़मर ठहरा

मुमानअ'त का तक़ाज़ा था जिस से दूर रहें
चमन में वो ही शजर सब से बा-समर ठहरा

जुनूँ की भीक कहीं भी न मिल सकी उस को
गदा-ए-होश यहाँ गरचे दर-ब-दर ठहरा

अजीब रक़्स था बिस्मिल का हर तमाशाई
तड़प के दर्द से यकसर ही बे-ख़बर ठहरा

अक़ीदतों के धुँदलकों में और क्या होता
हर एक फ़िक़रा यहाँ उस का मो'तबर ठहरा

मुझे न क़त्ल करें बस पयाम लाया हूँ
मिरी हक़ीक़त ही क्या मैं तो नामा-बर ठहरा

सफ़ीना गरचे किनारे पे जा लगा लेकिन
सवाल ये है इधर ठहरा या उधर ठहरा

न जाने कितनी ही सम्तें बुला रही हैं मुझे
हर इक क़दम पे है मुझ को नया सफ़र ठहरा

न देख पाया कोई आँख-भर के आईना
ख़ुद अपना चेहरा यहाँ बाइ'स-ए-मफ़र ठहरा

ठहर के जिस ने भी कुछ देर ख़ुद को देख लिया
वो अपनी वहशत-ए-बे-जा का चारागर ठहरा

है जाने कितने ही पर्दों में महव-ए-आराइश
झलक भी देख ली जिस ने वो दीदा-वर ठहरा

हर एक शय से मोहब्बत है बस इलाज यहाँ
बस एक नुस्ख़ा यही है जो कारगर ठहरा

शुरूअ' हुआ था अभी और क़रीब ख़त्म है अब
ये ज़िंदगी का सफ़र कितना मुख़्तसर ठहरा

  - Jafar Abbas

Bechaini Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jafar Abbas

As you were reading Shayari by Jafar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Jafar Abbas

Similar Moods

As you were reading Bechaini Shayari Shayari