abhi to mahv-e-tajalli hain sab dukano par
palat ke dekhiye aate hain kab makaanon par
khayaal-e-khaam mein guzri hai zindagi saari
haqeeqaton ka gumaan hai abhi fasaanon par
qadam qadam pe tazaadon se saabika hai jahaan
yaqeen kaise kare koi in gumaanon par
vo jis ki chaah mein mar mar ke jee rahe hain yahan
na jaane kaun si basti hai aasmaanon par
jahaan bhi teer laga bas wahi hadf thehra
hai phir bhi zo'm bahut un ko in kamaanon par
main un ki baat ko kis taur mo'tabar jaanoon
madaar-e-zeest hi jin ka hai kuchh bahaanon par
kaddi hai dhoop jhulsati hain ab daleelen sabhi
yaqeen hai phir bhi unhen kitna saayebaanon par
nazar mein zehan mein dil mein kushaadgi laao
hawa ke rukh ka taqaza hai baadbaanon par
na jaane kitni hi sadiyaan lagengi aur abhi
dilon ki baat jab aa paayegi zabaanon par
ajeeb un ko saleeqa hai khul ke jeene ka
nayi hai kaun si tohmat ye ham deewano par
hamaari zaat se aabaad kuchh kharaabe hain
hai apne dam se ujaala kai maqaamon par
khird-navaaz junoon aur junoon-nawaaz khird
hain ab bhi noor tariqe ye kuchh thikaanon par
use jagao dase tum ko maar dale tumhein
tumhaari zaat mein baitha hai jo khazaano par
अभी तो महव-ए-तजल्ली हैं सब दुकानों पर
पलट के देखिए आते हैं कब मकानों पर
ख़याल-ए-ख़ाम में गुज़री है ज़िंदगी सारी
हक़ीक़तों का गुमाँ है अभी फ़सानों पर
क़दम क़दम पे तज़ादों से साबिक़ा है जहाँ
यक़ीन कैसे करे कोई इन गुमानों पर
वो जिस की चाह में मर मर के जी रहे हैं यहाँ
न जाने कौन सी बस्ती है आसमानों पर
जहाँ भी तीर लगा बस वही हदफ़ ठहरा
है फिर भी ज़ो'म बहुत उन को इन कमानों पर
मैं उन की बात को किस तौर मो'तबर जानूँ
मदार-ए-ज़ीस्त ही जिन का है कुछ बहानों पर
कड़ी है धूप झुलसती हैं अब दलीलें सभी
यक़ीं है फिर भी उन्हें कितना साएबानों पर
नज़र में ज़ेहन में दिल में कुशादगी लाओ
हवा के रुख़ का तक़ाज़ा है बादबानों पर
न जाने कितनी ही सदियाँ लगेंगी और अभी
दिलों की बात जब आ पाएगी ज़बानों पर
अजीब उन को सलीक़ा है खुल के जीने का
नई है कौन सी तोहमत ये हम दिवानों पर
हमारी ज़ात से आबाद कुछ ख़राबे हैं
है अपने दम से उजाला कई मक़ामों पर
ख़िरद-नवाज़ जुनूँ और जुनूँ-नवाज़ ख़िरद
हैं अब भी नूर तरीक़े ये कुछ ठिकानों पर
उसे जगाओ डसे तुम को मार डाले तुम्हें
तुम्हारी ज़ात में बैठा है जो ख़ज़ानों पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Abbas
our suggestion based on Jafar Abbas
As you were reading Shehar Shayari Shayari