ik ik kar ke ho gaye ruksat ab koi armaan nahin
dil mein gahra sannaata hai ab koi mehmaan nahin
tum ne bhi sun rakha hoga ham bhi sunte aaye hain
jis ke dil mein dard na ho vo patthar hai insaan nahin
dard kada ho to bhi akshar patthar ban jaate hain log
marne ki ummeed nahin hai jeene ka samaan nahin
kuchh mat bolo chup ho jaao baaton mein kya rakha hai
kyun karte ho aisi baatein jin baaton mein jaan nahin
auron jaisi baatein mujh ko bhi karne padti hain roz
ye to meri majboori hai ye meri pehchaan nahin
meri baatein seedhi sacchi un mein koi pech nahin
in ko meer ki ghazlein jaano ghalib ka deewaan nahin
dil ko bahaalne ki khaatir ham bhi kya kya karte hain
khoob samajhta hai vo bhi sab aisa bhi naadaan nahin
raat gaye akshar yun hi kyun phoot phoot kar rote ho
khaak tale sone waalon se milne ka imkaan nahin
vo tha mere dukh ka saathi aur tumhein kya batlaayein
us ka mera jo rishta tha us rishte ka naam nahin
vo hota to phir bhi shaayad dard pe kuchh qaabu rehta
tanhaai se tanhaa ladna kuchh aisa aasaan nahin
इक इक कर के हो गए रुख़्सत अब कोई अरमान नहीं
दिल में गहरा सन्नाटा है अब कोई मेहमान नहीं
तुम ने भी सुन रक्खा होगा हम भी सुनते आए हैं
जिस के दिल में दर्द न हो वो पत्थर है इंसान नहीं
दर्द कड़ा हो तो भी अक्सर पत्थर बन जाते हैं लोग
मरने की उम्मीद नहीं है जीने का सामान नहीं
कुछ मत बोलो चुप हो जाओ बातों में क्या रक्खा है
क्यूँ करते हो ऐसी बातें जिन बातों में जान नहीं
औरों जैसी बातें मुझ को भी करनी पड़ती हैं रोज़
ये तो मेरी मजबूरी है ये मेरी पहचान नहीं
मेरी बातें सीधी सच्ची उन में कोई पेच नहीं
इन को 'मीर' की ग़ज़लें जानो 'ग़ालिब' का दीवान नहीं
दिल को बहलाने की ख़ातिर हम भी क्या क्या करते हैं
ख़ूब समझता है वो भी सब ऐसा भी नादान नहीं
रात गए अक्सर यूँ ही क्यूँ फूट फूट कर रोते हो
ख़ाक तले सोने वालों से मिलने का इम्कान नहीं
वो था मेरे दुख का साथी और तुम्हें क्या बतलाएँ
उस का मेरा जो रिश्ता था उस रिश्ते का नाम नहीं
वो होता तो फिर भी शायद दर्द पे कुछ क़ाबू रहता
तन्हाई से तन्हा लड़ना कुछ ऐसा आसान नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Abbas
our suggestion based on Jafar Abbas
As you were reading Tamanna Shayari Shayari