ham ne to socha bhi nahin tha aisa din bhi aayega | हम ने तो सोचा भी नहीं था ऐसा दिन भी आएगा

  - Jafar Abbas

ham ne to socha bhi nahin tha aisa din bhi aayega
apnon ka yun rukh badlega sab se jee bhar jaayega

dil mein jo hai sab kah daalo waqt bahut kam baaki hai
kaun yahan hai dost tumhaara jo dushman ho jaayega

kaise kaise pyaare saathi kaisi kaisi baatein theen
kis ko kya ma'aloom tha yaaro kaun kahaan chhut jaayega

pyaar ke badle nafrat paai nafrat bhi itni gahri
aisa kyun hai kyun hai aisa koi samajh na paayega

mat poocho ham ko apnon ne kaise kaise zakham diye
gar ye qissa chhed diya to sab ka jee bhar aayega

aankhon mein ab ashk nahin hain seene mein ab aah nahin
us ki baat karo mat mujh se dard bahut badh jaayega

apna bhi ik yaar tha aisa jis se kuchh kah lete the
ab jo dil ka bojh badhega kis ke dar par jaayega

pyaar mohabbat laag lagao ke baare mein mat socho
raha-saha jo bharam bacha hai yun vo bhi uth jaayega

ghar se be-ghar ho kar ham to maare maare firte hain
ye banjaara dil dekho ab ham ko kidhar le jaayega

ham ne to apni kah daali tum bhi to kuchh apni kaho
dil ki baat karo kuchh yaaro dil halka ho jaayega

हम ने तो सोचा भी नहीं था ऐसा दिन भी आएगा
अपनों का यूँ रुख़ बदलेगा सब से जी भर जाएगा

दिल में जो है सब कह डालो वक़्त बहुत कम बाक़ी है
कौन यहाँ है दोस्त तुम्हारा जो दुश्मन हो जाएगा

कैसे कैसे प्यारे साथी कैसी कैसी बातें थीं
किस को क्या मा'लूम था यारो कौन कहाँ छुट जाएगा

प्यार के बदले नफ़रत पाई नफ़रत भी इतनी गहरी
ऐसा क्यूँ है क्यूँ है ऐसा कोई समझ न पाएगा

मत पूछो हम को अपनों ने कैसे कैसे ज़ख़्म दिए
गर ये क़िस्सा छेड़ दिया तो सब का जी भर आएगा

आँखों में अब अश्क नहीं हैं सीने में अब आह नहीं
उस की बात करो मत मुझ से दर्द बहुत बढ़ जाएगा

अपना भी इक यार था ऐसा जिस से कुछ कह लेते थे
अब जो दिल का बोझ बढ़ेगा किस के दर पर जाएगा

प्यार मोहब्बत लाग लगाओ के बारे में मत सोचो
रहा-सहा जो भरम बचा है यूँ वो भी उठ जाएगा

घर से बे-घर हो कर हम तो मारे मारे फिरते हैं
ये बंजारा दिल देखो अब हम को किधर ले जाएगा

हम ने तो अपनी कह डाली तुम भी तो कुछ अपनी कहो
दिल की बात करो कुछ यारो दिल हल्का हो जाएगा

  - Jafar Abbas

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jafar Abbas

As you were reading Shayari by Jafar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Jafar Abbas

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari