nafs se jo lada nahin karte
rooh par vo jila nahin karte
kyun na ho phir fasaad duniya mein
log khauf-e-khuda nahin karte
ahl-e-dil ahl-e-zarf ahl-e-nazar
baat dil ki kaha nahin karte
un ka jeena abas hai duniya mein
jo kisi ka bhala nahin karte
bazm-e-ishrat mein aashikaan-e-tarab
naala-e-dil suna nahin karte
dosti kya karoon main phoolon se
ye hamesha khila nahin karte
dars lo tootte habaabon se
sar utha kar chala nahin karte
ai jali dehr ke sataaye hue
zindagi ki dua nahin karte
नफ़्स से जो लड़ा नहीं करते
रूह पर वो जिला नहीं करते
क्यूँ न हो फिर फ़साद दुनिया में
लोग ख़ौफ़-ए-ख़ुदा नहीं करते
अहल-ए-दिल अहल-ए-ज़र्फ़ अहल-ए-नज़र
बात दिल की कहा नहीं करते
उन का जीना अबस है दुनिया में
जो किसी का भला नहीं करते
बज़्म-ए-इशरत में आशिकान-ए-तरब
नाला-ए-दिल सुना नहीं करते
दोस्ती क्या करूँ मैं फूलों से
ये हमेशा खिला नहीं करते
दर्स लो टूटते हबाबों से
सर उठा कर चला नहीं करते
ऐ 'जली' दहर के सताए हुए
ज़िंदगी की दुआ नहीं करते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jalee Amrohvi
our suggestion based on Jalee Amrohvi
As you were reading Dost Shayari Shayari