khauf abhi juda na tha silsila-e-kalaam se
harf abhi bujhe na the dehshat-e-kam-khiraam se
sang-e-malaal ke liye dil aastaan hua na tha
iqliim-e-khwaab mein kahi koi ziyaan hua na tha
nikhat-e-abr-o-baad ki masti mein dolte the ghar
saaf dikhaai dete the
us ki gali ke sab shajar
gard misaal-e-dastaken dar pe abhi jamee na theen
rang-e-firaq-o-wasl ki parten abhi khuli na theen
aise mein thi kise khabar
jab saat-e-mahtaab ho
yun bhi to hai ki aur hi naqsha-e-khaak-o-aab ho
ख़ौफ़ अभी जुड़ा न था सिलसिला-ए-कलाम से
हर्फ़ अभी बुझे न थे दहशत-ए-कम-ख़िराम से
संग-ए-मलाल के लिए दिल आस्ताँ हुआ न था
इक़्लीम-ए-ख़्वाब में कहीं कोई ज़ियाँ हुआ न था
निकहत-ए-अब्र-ओ-बाद की मस्ती में डोलते थे घर
साफ़ दिखाई देते थे
उस की गली के सब शजर
गर्द मिसाल-ए-दस्तकें दर पे अभी जमी न थीं
रंग-ए-फ़िराक़-ओ-वस्ल की परतें अभी खुली न थीं
ऐसे में थी किसे ख़बर
जब साअत-ए-माहताब हो
यूँ भी तो है कि और ही नक़्शा-ए-ख़ाक-ओ-आब हो
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jameel ur Rahman
As you were reading Gaon Shayari Shayari