suroor-o-kaif hai kuchh lazzat-e-baqa to nahin | सुरूर-ओ-कैफ़ है कुछ लज़्ज़त-ए-बक़ा तो नहीं

  - Kaleem Ahmadabadi

suroor-o-kaif hai kuchh lazzat-e-baqa to nahin
ye ibtida ki haqeeqat hai intiha to nahin

sitaare teer nigaahon se dekhte kyun hain
mera junoon koi mere liye bala to nahin

fareb khaaye na kyun kar kisi ka saada dil
zamaana-saaz nigaahon se aashna to nahin

kahi giri to hai bijli zara nazar kijeye
kisi gareeb ki paltee hui dua to nahin

hazaar baar khizaan se bahaar takraai
chaman ka raaz magar aaj tak khula to nahin

mizaaj-e-husn muqaddar hai kyun khuda jaane
is aaine mein koi baal aa gaya to nahin

hujoom-e-naaz mein jalwa-farebiyon ke siva
kaleem aur koi haadisa hua to nahin

सुरूर-ओ-कैफ़ है कुछ लज़्ज़त-ए-बक़ा तो नहीं
ये इब्तिदा की हक़ीक़त है इंतिहा तो नहीं

सितारे तीर निगाहों से देखते क्यूँ हैं
मिरा जुनूँ कोई मेरे लिए बला तो नहीं

फ़रेब खाए न क्यूँ कर किसी का सादा दिल
ज़माना-साज़ निगाहों से आश्ना तो नहीं

कहीं गिरी तो है बिजली ज़रा नज़र कीजे
किसी ग़रीब की पलटी हुई दुआ तो नहीं

हज़ार बार ख़िज़ाँ से बहार टकराई
चमन का राज़ मगर आज तक खुला तो नहीं

मिज़ाज-ए-हुस्न मुकद्दर है क्यूँ ख़ुदा जाने
इस आइने में कोई बाल आ गया तो नहीं

हुजूम-ए-नाज़ में जल्वा-फ़रेबियों के सिवा
'कलीम' और कोई हादिसा हुआ तो नहीं

  - Kaleem Ahmadabadi

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Ahmadabadi

As you were reading Shayari by Kaleem Ahmadabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Ahmadabadi

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari