mere naam ulfat mein khaariz arjiyaan kitni
shahr-e-zeest mein rahti ab udaasiyaan kitni
dard mein kabhi shaane bhi na de sake mujhko
phone par diya karte jo tasalliyaan kitni
hausla gajab ka bhar deti hain mere andar
baarha ye girtiin phir uthteen cheetiyaan kitni
kab mazooron ke hisse mein sukoon ke pal aayein
yun to dard se akshar chatkiin haddiyaan kitni
ab na dar dareechon par dhoop ki koi dastak
kad imaarton ke dhak jaatein bastiyaan kitni
tum bhi ek shayar ho shayari se ho zardaar
par hamaare hisse mein kam hain rotiyaan kitni
loot rahi hain kaliyon ki asmatein priya jab se
dekh ab bageechon ko dartiin titliyan kitni
मेरे नाम उल्फ़त में खारिज़ अर्जियाँ कितनी
शह्र-ए-ज़ीस्त में रहती अब उदासियाँ कितनी
दर्द में कभी शाने भी न दे सके मुझको
फ़ोन पर दिया करते जो तसल्लियाँ कितनी
हौसला गजब का भर देती हैं मेरे अंदर
बारहा ये गिरतीं फिर उठतीं चीटियाँ कितनी
कब मज़ूरों के हिस्से में सुकूँ के पल आएँ
यूँ तो दर्द से अक्सर चटकीं हड्डियाँ कितनी
अब न दर दरीचों पर धूप की कोई दस्तक
क़द इमारतों के ढक जातीं, बस्तियाँ कितनी
तुम भी एक शायर हो शायरी से हो ज़रदार
पर हमारे हिस्से में कम हैं रोटियाँ कितनी
लुट रही हैं कलियों की अस्मतें 'प्रिया' जब से
देख अब बग़ीचों को डरतीं तितलियाँ कितनी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Priya omar
our suggestion based on Priya omar
As you were reading Gham Shayari Shayari