aaj mile vo poocha ham se kaun is dil mein ab rehta hai
koi bhi ye kothee ham ne jaan kiraye chadha rakhi hai
meri jaana yaad mein teri jaagenge ham raat kisi aur
neend hamaari berozgaari ne filhaal uda rakhi hai
mujhko thokar maarnay waale main buniyaad ka vo patthar hoon
jiske oopar tumne apne ghar ki neev tika rakhi hai
tum bhi ab chup chup rahte ho ham bhi ab chup chup rahte hain
dekh zara si khaamoshi ne kitni baat badha rakhi hai
आज मिले वो पूछा हम से कौन इस दिल में अब रहता है
कोई भी ये कोठी हम ने जान किराए चढ़ा रक्खी है
मेरी जाना याद में तेरी जागेंगे हम रात किसी और
नींद हमारी बेरोज़गारी ने फिलहाल उड़ा रक्खी है
मुझको ठोकर मारने वाले मैं बुनियाद का वो पत्थर हूँ
जिसके ऊपर तुमने अपने घर की नींव टिका रक्खी है
तुम भी अब चुप चुप रहते हो हम भी अब चुप चुप रहते हैं
देख ज़रा सी ख़ामोशी ने कितनी बात बढ़ा रक्खी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by KUNAL
our suggestion based on KUNAL
As you were reading Khwab Shayari Shayari