phir ye shaam dhali aur saare apne apne ghar aaye | फिर ये शाम ढली और सारे अपने अपने घर आए

  - KUNAL

phir ye shaam dhali aur saare apne apne ghar aaye
ham bhi shaam ko nikle ghar ko ghar par raat magar aaye

raat dhuen se cigarette ke ye kamra dhundhlaa kar daala
dhundh chhatti to teri photo deewaron par ubhar aaye

baat chali jo ibadat kii to sabko haj par jaana tha
ham phir aaj gali se teri nange paanv guzar aaye

phir se teri yaad ko milne station par ja pahunchen
phir ik chalti rail ke neeche rooh apni ham dhar aaye

kuchh is tarah bhigoya hai is baar tumhein is holi par
ham hansati tasveer ko teri ashkon se kar tar aaye

फिर ये शाम ढली और सारे अपने अपने घर आए
हम भी शाम को निकले घर को घर पर रात मगर आए

रात धुएँ से सिगरेट के ये कमरा धुँधला कर डाला
धुंध छँटी तो तेरी फोटो दीवारों पर उभर आए

बात चली जो इबादत की तो सबको हज पर जाना था
हम फिर आज गली से तेरी नंगे पाँव गुज़र आए

फिर से तेरी याद को मिलने स्टेशन पर जा पहुँचे
फिर इक चलती रेल के नीचे रूह अपनी हम धर आए

कुछ इस तरह भिगोया है इस बार तुम्हें इस होली पर
हम हँसती तस्वीर को तेरी अश्कों से कर तर आए

  - KUNAL

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by KUNAL

As you were reading Shayari by KUNAL

Similar Writers

our suggestion based on KUNAL

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari