ab mo'taqid-e-gardish-e-dauraan na rahe ham | अब मो'तक़िद-ए-गर्दिश-ए-दौराँ न रहे हम

  - Lalan Chaudhary

ab mo'taqid-e-gardish-e-dauraan na rahe ham
qaabil tire ai deeda-e-jaanaan na rahe ham

kab mil ke unhen dil ki tamannaayein bar aayein
kab un se juda ho ke pareshaan na rahe ham

ye baat digar hai ki na the roo-b-roo un ke
kab deed ka dil mein liye armaan na rahe ham

qismat to zara dekho kab aayi hain bahaarein
jab qaabil-e-gul-gasht-e-gulistaan na rahe ham

saaqi ki nigaahon ne pila di hai kuchh aisi
jaam-e-may-e-gulfaam ke khwaahan na rahe ham

ab dard hi raahat si hamein dene laga hai
chaaragaro minnat-kash-e-darmaan na rahe ham

aafat rah-e-ulfat mein hasi aayi thi ik din
ba'ad us ke kabhi zeest mein khandaan na rahe ham

अब मो'तक़िद-ए-गर्दिश-ए-दौराँ न रहे हम
क़ाबिल तिरे ऐ दीदा-ए-जानाँ न रहे हम

कब मिल के उन्हें दिल की तमन्नाएँ बर आईं
कब उन से जुदा हो के परेशाँ न रहे हम

ये बात दिगर है कि न थे रू-ब-रू उन के
कब दीद का दिल में लिए अरमाँ न रहे हम

क़िस्मत तो ज़रा देखो कब आई हैं बहारें
जब क़ाबिल-ए-गुल-गश्त-ए-गुलिस्ताँ न रहे हम

साक़ी की निगाहों ने पिला दी है कुछ ऐसी
जाम-ए-मय-ए-गुलफ़ाम के ख़्वाहाँ न रहे हम

अब दर्द ही राहत सी हमें देने लगा है
चारागरो मिन्नत-कश-ए-दरमाँ न रहे हम

'आफ़त' रह-ए-उल्फ़त में हँसी आई थी इक दिन
बा'द उस के कभी ज़ीस्त में ख़ंदाँ न रहे हम

  - Lalan Chaudhary

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lalan Chaudhary

As you were reading Shayari by Lalan Chaudhary

Similar Writers

our suggestion based on Lalan Chaudhary

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari