asiraan-e-ishq-e-butaan aur bhi hain
nahin main hi mahv-e-fighaan aur bhi hain
abhi ye jafaa ka hai aaghaaz ai dil
wafa ke abhi imtihaan aur bhi hain
nahin ik falak ki hai mujh par inaayat
mere haal par meherbaan aur bhi hain
humeen se hai kyun laag barq-e-tapaan ko
chaman mein kai aashiyaan aur bhi hain
rah-e-ishq mein mit gaye ham to kya gham
rah-e-ishq mein kaarwaan aur bhi hain
kaha jab se hai haal-e-dil un se apna
vo mujh se hue bad-gumaan aur bhi hain
watan ki tarqqi pe khush ho na aafat
abhi bekas-o-be-makaan aur bhi hain
असीरान-ए-इश्क़-ए-बुताँ और भी हैं
नहीं मैं ही महव-ए-फ़ुग़ाँ और भी हैं
अभी ये जफ़ा का है आग़ाज़ ऐ दिल
वफ़ा के अभी इम्तिहाँ और भी हैं
नहीं इक फ़लक की है मुझ पर इनायत
मिरे हाल पर मेहरबाँ और भी हैं
हमीं से है क्यूँ लाग बर्क़-ए-तपाँ को
चमन में कई आशियाँ और भी हैं
रह-ए-इश्क़ में मिट गए हम तो क्या ग़म
रह-ए-इश्क़ में कारवाँ और भी हैं
कहा जब से है हाल-ए-दिल उन से अपना
वो मुझ से हुए बद-गुमाँ और भी हैं
वतन की तरक़्क़ी पे ख़ुश हो न 'आफ़त'
अभी बेकस-ओ-बे-मकाँ और भी हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lalan Chaudhary
our suggestion based on Lalan Chaudhary
As you were reading Gulshan Shayari Shayari