gulzaar mein raftaar-e-saba aur hi kuchh hai | गुलज़ार में रफ़्तार-ए-सबा और ही कुछ है

  - Lalan Chaudhary

gulzaar mein raftaar-e-saba aur hi kuchh hai
us shokh ke chalne ki ada aur hi kuchh hai

karti hai khunuk dil ki tapish baad-e-sehr bhi
lekin tire daaman ki hawa aur hi kuchh hai

shaayad vo shabaab aane se aagaah hua hai
palkein hain jhuki rang-e-haya aur hi kuchh hai

kis shokh ne zulfon ko hawa mein hai udaaya
ye tauba-shikan kaali-ghata aur hi kuchh hai

kehne ko to har fard-o-bashar sab hain barabar
duniya mein magar shor bapaa aur hi kuchh hai

bekas ka lahu shola na ban jaaye sambhalna
paighaam sunaati ye hawa aur hi kuchh hai

vo laakh sitam dhaayein kabhi uf na karunga
aafat mera dastoor-e-wafa aur hi kuchh hai

गुलज़ार में रफ़्तार-ए-सबा और ही कुछ है
उस शोख़ के चलने की अदा और ही कुछ है

करती है ख़ुनुक दिल की तपिश बाद-ए-सहर भी
लेकिन तिरे दामन की हवा और ही कुछ है

शायद वो शबाब आने से आगाह हुआ है
पलकें हैं झुकीं रंग-ए-हया और ही कुछ है

किस शोख़ ने ज़ुल्फ़ों को हवा में है उड़ाया
ये तौबा-शिकन काली-घटा और ही कुछ है

कहने को तो हर फ़र्द-ओ-बशर सब हैं बराबर
दुनिया में मगर शोर बपा और ही कुछ है

बेकस का लहू शो'ला न बन जाए सँभलना
पैग़ाम सुनाती ये हवा और ही कुछ है

वो लाख सितम ढाएँ कभी उफ़ न करूँगा
आफ़त मिरा दस्तूर-ए-वफ़ा और ही कुछ है

  - Lalan Chaudhary

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lalan Chaudhary

As you were reading Shayari by Lalan Chaudhary

Similar Writers

our suggestion based on Lalan Chaudhary

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari