nikalkar qaid se baahar nahin aata | निकलकर क़ैद से बाहर नहीं आता

  - Lalit Pandey

nikalkar qaid se baahar nahin aata
mere dar par mera parvar nahin aata

khilone khud banaakar khelta tha main
sabhi ke gaav farmaish nahin aata

ishaaron par kisi ke naachta hai vo
mere patton mein jo number nahin aata

tumhein is zindagi ka gham nahin yaani
tumhaari daal mein patthar nahin aata

hamaare hisse mein aawaargi aayi
hamaare hisse koii ghar nahin aata

निकलकर क़ैद से बाहर नहीं आता
मेरे दर पर मेरा परवर नहीं आता

खिलौने ख़ुद बनाकर खेलता था मैं
सभी के गाँव जादूगर नहीं आता

इशारों पर किसी के नाचता है वो
मेरे पत्तों में जो नम्बर नहीं आता

तुम्हें इस ज़िंदगी का ग़म नहीं यानी
तुम्हारी दाल में पत्थर नहीं आता

हमारे हिस्से में आवारगी आई
हमारे हिस्से कोई घर नहीं आता

  - Lalit Pandey

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lalit Pandey

As you were reading Shayari by Lalit Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Lalit Pandey

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari