kuchh kahte zaroor un se goyaai nahin baaki
soorat to haseen hogi beenaai nahin baaki
dukh-dard ki saathi thi milna hai muhaal us ka
ik hashr sa barpa hai tanhaai nahin baaki
ab dil mein hai kya mere is baat ko tum chhodo
is raah-e-mohabbat mein paspaai nahin baaki
haalaat ki shiddat ne jhulsaae badan aise
chehre ki ziya ruksat zebaai nahin baaki
kuchh rang-e-khizaan ne bhi gul aise khilaaye hain
lahjon mein kahi bhi to raanaai nahin baaki
कुछ कहते ज़रूर उन से गोयाई नहीं बाक़ी
सूरत तो हसीं होगी बीनाई नहीं बाक़ी
दुख-दर्द की साथी थी मिलना है मुहाल उस का
इक हश्र सा बरपा है तन्हाई नहीं बाक़ी
अब दिल में है क्या मेरे इस बात को तुम छोड़ो
इस राह-ए-मोहब्बत में पस्पाई नहीं बाक़ी
हालात की शिद्दत ने झुलसाए बदन ऐसे
चेहरे की ज़िया रुख़्सत ज़ेबाई नहीं बाक़ी
कुछ रंग-ए-ख़िज़ाँ ने भी गुल ऐसे खिलाए हैं
लहजों में कहीं भी तो रानाई नहीं बाक़ी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lubna Safdar
our suggestion based on Lubna Safdar
As you were reading Mulaqat Shayari Shayari