zameen-e-chashm-e-nam mein ham ko tera khwaab bona tha
tiri har yaad ka moti to palkon mein pirona tha
milan ke mausamon mein jaane kyun main bhool baithi thi
tujhe bhi shehar ki is bheed mein ai dost khona tha
faqat apne khayaalon se na baandho yun mere dilbar
kabhi dete rihaai mujh ko bhi kuchh der sona tha
gira hai to kai tukdon mein vo bikhra pada hoga
tumhaare nam se haathon mein jo sheeshe ka khilauna tha
na jaane waqt ne kyun faasle ye de diye warna
tumhi to mere jaise the tumhein to mera hona tha
ज़मीन-ए-चश्म-ए-नम में हम को तेरा ख़्वाब बोना था
तिरी हर याद का मोती तो पलकों में पिरोना था
मिलन के मौसमों में जाने क्यूँ मैं भूल बैठी थी
तुझे भी शहर की इस भीड़ में ऐ दोस्त खोना था
फ़क़त अपने ख़यालों से न बाँधो यूँ मिरे दिलबर
कभी देते रिहाई मुझ को भी कुछ देर सोना था
गिरा है तो कई टुकड़ों में वो बिखरा पड़ा होगा
तुम्हारे नम से हाथों में जो शीशे का खिलौना था
न जाने वक़्त ने क्यूँ फ़ासले ये दे दिए वर्ना
तुम्ही तो मेरे जैसे थे तुम्हें तो मेरा होना था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lubna Safdar
our suggestion based on Lubna Safdar
As you were reading I Miss you Shayari Shayari