khizaan ki shaam ko zakhm-e-bahaar kis ne kiya | ख़िज़ाँ की शाम को ज़ख़्म-ए-बहार किस ने किया

  - Lubna Safdar

khizaan ki shaam ko zakhm-e-bahaar kis ne kiya
har ek resha-e-gul rang-baar kis ne kiya

khushi visaal ki saari samet li tu ne
firaq lamhon ko bolo shumaar kis ne kiya

har ek shakhs yahan bad-gumaan tujh se tha
nigah-e-yaar tira e'tibaar kis ne kiya

ye mere ghar ki udaasi gawaahi degi tujhe
ki tere hijr ke dariya ko paar kis ne kiya

mataa-e-jaan ko kiya khaak kis ne tere liye
ye khaak-e-jaan hi bataayegi pyaar kis ne kiya

wafa mein jaan lutaane ke ba'ad bhi lubna
mere khuloos-e-mohabbat pe vaar kis ne kiya

ख़िज़ाँ की शाम को ज़ख़्म-ए-बहार किस ने किया
हर एक रेशा-ए-गुल रंग-बार किस ने किया

ख़ुशी विसाल की सारी समेट ली तू ने
फ़िराक़ लम्हों को बोलो शुमार किस ने किया

हर एक शख़्स यहाँ बद-गुमान तुझ से था
निगाह-ए-यार तिरा ए'तिबार किस ने किया

ये मेरे घर की उदासी गवाही देगी तुझे
कि तेरे हिज्र के दरिया को पार किस ने किया

मता-ए-जाँ को किया ख़ाक किस ने तेरे लिए
ये ख़ाक-ए-जाँ ही बताएगी प्यार किस ने किया

वफ़ा में जान लुटाने के बा'द भी 'लुबना'
मिरे ख़ुलूस-ए-मोहब्बत पे वार किस ने किया

  - Lubna Safdar

Depression Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lubna Safdar

As you were reading Shayari by Lubna Safdar

Similar Writers

our suggestion based on Lubna Safdar

Similar Moods

As you were reading Depression Shayari Shayari