shola jalta hua sard si shaam mein
man pighlata hua sard si shaam mein
vahshaton ne rag-e-jaan ko kaata hai khoob
dukh maslata hua sard si shaam mein
aasmaanon pe rangon ke mele bhi the
din tha dhalt hua sard si shaam mein
kaun tha dasht mein sang mere kaho
saath chalta hua sard si shaam mein
be-khudi ko kahoon kya main apna badan
dekhoon dhalt hua sard si shaam mein
शो'ला जलता हुआ सर्द सी शाम में
मन पिघलता हुआ सर्द सी शाम में
वहशतों ने रग-ए-जाँ को काटा है ख़ूब
दुख मसलता हुआ सर्द सी शाम में
आसमानों पे रंगों के मेले भी थे
दिन था ढलता हुआ सर्द सी शाम में
कौन था दश्त में संग मेरे कहो
साथ चलता हुआ सर्द सी शाम में
बे-ख़ुदी को कहूँ क्या मैं अपना बदन
देखूँ ढलता हुआ सर्द सी शाम में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lubna Safdar
our suggestion based on Lubna Safdar
As you were reading Aah Shayari Shayari