hunar-e-ghaib ki tafseer bane baithe hain | हुनर-ए-ग़ैब की तफ़्सीर बने बैठे हैं

  - Lucky farooqi Hasrat

hunar-e-ghaib ki tafseer bane baithe hain
sab yahan meer taqi meer bane baithe hain

mere kamre ki khamoshi ka gila waajib hai
aap tasveer mein tasveer bane baithe hain

apne uljhe hue baalon ko sanwaaro jaanaan
ye mere paanv ki zanjeer bane baithe hain

itni unchi hai mere sar pe rakhi qeemat ki
gul-sifat log bhi shamsheer bane baithe hain

dil ke gul-marg mein girti hai tiri yaad ki barf
ham tire hijr mein kashmir bane baithe hain

हुनर-ए-ग़ैब की तफ़्सीर बने बैठे हैं
सब यहाँ 'मीर' तक़ी 'मीर' बने बैठे हैं

मेरे कमरे की ख़मोशी का गिला वाजिब है
आप तस्वीर में तस्वीर बने बैठे हैं

अपने उलझे हुए बालों को सँवारो जानाँ
ये मिरे पाँव की ज़ंजीर बने बैठे हैं

इतनी ऊँची है मिरे सर पे रखी क़ीमत कि
गुल-सिफ़त लोग भी शमशीर बने बैठे हैं

दिल के गुल-मर्ग में गिरती है तिरी याद की बर्फ़
हम तिरे हिज्र में कश्मीर बने बैठे हैं

  - Lucky farooqi Hasrat

Qaid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lucky farooqi Hasrat

As you were reading Shayari by Lucky farooqi Hasrat

Similar Writers

our suggestion based on Lucky farooqi Hasrat

Similar Moods

As you were reading Qaid Shayari Shayari