kabhi aankhen kabhi rukhsaar-o-zakkan nochti hai | कभी आँखें कभी रुख़्सार-ओ-ज़क़न नोचती है

  - Lucky farooqi Hasrat

kabhi aankhen kabhi rukhsaar-o-zakkan nochti hai
ab meri rooh faqat mera badan nochti hai

subh ki chaai mein hoti hai vo taaseer gazab
jo gai raat ke chehre se thakan nochti hai

apni marzi se tawaif nahin banti aurat
muflisi bhook ki jaanib se badan nochti hai

baahmi rabt ke jalwe bhi ajab hote hain
main ghutan ko to kabhi mujh ko ghutan nochti hai

log kahte the ghareebi jise sadiyon pehle
vo bala aaj bhi laashon ke kafan nochti hai

gar alaava tire aata hai kisi aur ka khwaab
raat bhar aankh ki putli ko chubhan nochti hai

कभी आँखें कभी रुख़्सार-ओ-ज़क़न नोचती है
अब मिरी रूह फ़क़त मेरा बदन नोचती है

सुब्ह की चाय में होती है वो तासीर ग़ज़ब
जो गई रात के चेहरे से थकन नोचती है

अपनी मर्ज़ी से तवाइफ़ नहीं बनती औरत
मुफ़्लिसी भूक की जानिब से बदन नोचती है

बाहमी रब्त के जल्वे भी अजब होते हैं
मैं घुटन को तो कभी मुझ को घुटन नोचती है

लोग कहते थे ग़रीबी जिसे सदियों पहले
वो बला आज भी लाशों के कफ़न नोचती है

गर अलावा तिरे आता है किसी और का ख़्वाब
रात भर आँख की पुतली को चुभन नोचती है

  - Lucky farooqi Hasrat

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lucky farooqi Hasrat

As you were reading Shayari by Lucky farooqi Hasrat

Similar Writers

our suggestion based on Lucky farooqi Hasrat

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari