taaseer-e-mukhtalif ki rawaani se jal gaye | तासीर-ए-मुख़्तलिफ़ की रवानी से जल गए

  - Lucky farooqi Hasrat

taaseer-e-mukhtalif ki rawaani se jal gaye
suraj ke hont barf ke paani se jal gaye

lafzon ki seedhiyon se utarte hue khayal
kaaghaz pe aa ke soz-e-ma'aani se jal gaye

ab subh shaam kijie paani ki pattiyaan
sehra hamaari tishna-dahaani se jal gaye

us she'r ke tha misra-e-awwal mein zikr-e-aab
naqqaad jis ke misra-e-saani se jal gaye

kuchh log khaak ho gaye hijrat ki aag se
kuchh log shauq-e-naql-e-makaani se jal gaye

awaaz ke darakht ka mea'ar kya gira
honton ke phool talkh-bayaani se jal gaye

तासीर-ए-मुख़्तलिफ़ की रवानी से जल गए
सूरज के होंठ बर्फ़ के पानी से जल गए

लफ़्ज़ों की सीढ़ियों से उतरते हुए ख़याल
काग़ज़ पे आ के सोज़-ए-मआ'नी से जल गए

अब सुब्ह शाम कीजिए पानी की पट्टियाँ
सहरा हमारी तिश्ना-दहानी से जल गए

उस शे'र के था मिसरा-ए-अव्वल में ज़िक्र-ए-आब
नक़्क़ाद जिस के मिस्रा-ए-सानी से जल गए

कुछ लोग ख़ाक हो गए हिजरत की आग से
कुछ लोग शौक़-ए-नक़्ल-ए-मकानी से जल गए

आवाज़ के दरख़्त का मेआ'र क्या गिरा
होंटों के फूल तल्ख़-बयानी से जल गए

  - Lucky farooqi Hasrat

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lucky farooqi Hasrat

As you were reading Shayari by Lucky farooqi Hasrat

Similar Writers

our suggestion based on Lucky farooqi Hasrat

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari