yaas ko tegh-e-mashq se kaate
koi is naam ko likhe kaate
meri aankhon ke saamne kaate
jab tira aks aaine kaate
zindagi ki zameen mein ham ne
ashk boye the qahqahe kaate
kuchh to raftaar bhi meri kam thi
kuchh duaon ne haadse kaate
meri awaaz ki rasai ne
khaamoshi ke mughalte kaate
saare chaalaan husn waalon ne
ishq ke barrier tale kaate
mere boodhe badan pe tanj na kar
jab jawaan tha bade maze kaate
koi naqqaad hai yahan warna
kat gaye kaise harf be-kaate
ham ne kaaghaz ke khet mein hasrat
fikr boi thi qaafiye kaate
यास को तेग़-ए-मश्क़ से काटे
कोई इस नाम को लिखे काटे
मेरी आँखों के सामने काटे
जब तिरा अक्स आइने काटे
ज़िंदगी की ज़मीन में हम ने
अश्क बोए थे क़हक़हे काटे
कुछ तो रफ़्तार भी मिरी कम थी
कुछ दुआओं ने हादसे काटे
मेरी आवाज़ की रसाई ने
ख़ामुशी के मुग़ालते काटे
सारे चालान हुस्न वालों ने
इश्क़ के बैरियर तले काटे
मेरे बूढे बदन पे तंज़ न कर
जब जवाँ था बड़े मज़े काटे
कोई नक़्क़ाद है यहाँ वर्ना
कट गए कैसे हर्फ़ बे-काटे
हम ने काग़ज़ के खेत में 'हसरत'
फ़िक्र बोई थी क़ाफ़िए काटे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lucky farooqi Hasrat
our suggestion based on Lucky farooqi Hasrat
As you were reading Tasweer Shayari Shayari