saaz rota hai cheekh gaati hai | साज़ रोता है चीख़ गाती है

  - Lucky farooqi Hasrat

saaz rota hai cheekh gaati hai
mera naghma tasavvuraati hai

ek andhe se ghusl-khaane mein
chaandni dhoop se nahaati hai

sun ke ta'beer ke kharaaton ko
khwaab ki neend toot jaati hai

hijr ko god mein lita kar shab
vasl ki loriyaan sunaati hai

mera lahja hai misl-e-saudaai
aur andaaz nafsiyaati hai

seedhiyaan chadhte chadhte jeevan ki
saans ki saans phool jaati hai

vaadi-e-gul ki shaahzaadi ab
khoon ke lothade uthaati hai

shaay'ri ret ki silaai se
paaniyon mein girah lagati hai

साज़ रोता है चीख़ गाती है
मेरा नग़्मा तसव्वुराती है

एक अंधे से ग़ुस्ल-ख़ाने में
चाँदनी धूप से नहाती है

सुन के ता'बीर के ख़राटों को
ख़्वाब की नींद टूट जाती है

हिज्र को गोद में लिटा कर शब
वस्ल की लोरियाँ सुनाती है

मेरा लहजा है मिस्ल-ए-सौदाई
और अंदाज़ नफ़सियाती है

सीढ़ियाँ चढ़ते चढ़ते जीवन की
साँस की साँस फूल जाती है

वादी-ए-गुल की शाहज़ादी अब
ख़ून के लोथड़े उठाती है

शाइ'री रेत की सलाई से
पानियों में गिरह लगाती है

  - Lucky farooqi Hasrat

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lucky farooqi Hasrat

As you were reading Shayari by Lucky farooqi Hasrat

Similar Writers

our suggestion based on Lucky farooqi Hasrat

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari