sail-e-ashk-e-hazeen bhi kuchh hai
par meri aasteen bhi kuchh hai
ai purane khayal ki ladki
tujh mein taza-tareen bhi kuchh hai
meer ke dar pe renagne waalo
is ghazal ki zameen bhi kuchh hai
saaqiya padh raha hai bismillah
is ka matlab hai deen bhi kuchh hai
teri aankhon ko dekh kar jaana
shaay'ri se haseen bhi kuchh hai
jo ugalte hain zahar ai hasrat
un se kah do ki been bhi kuchh hai
सैल-ए-अश्क-ए-हज़ीं भी कुछ है
पर मिरी आस्तीन भी कुछ है
ऐ पुराने ख़याल की लड़की
तुझ में ताज़ा-तरीन भी कुछ है
'मीर' के दर पे रेंगने वालो
इस ग़ज़ल की ज़मीन भी कुछ है
साक़िया पढ़ रहा है बिस्मिल्लाह
इस का मतलब है दीन भी कुछ है
तेरी आँखों को देख कर जाना
शाइ'री से हसीन भी कुछ है
जो उगलते हैं ज़हर ऐ 'हसरत'
उन से कह दो की बीन भी कुछ है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lucky farooqi Hasrat
our suggestion based on Lucky farooqi Hasrat
As you were reading I Miss you Shayari Shayari