ishq taaron se na mahtaab se dildaari ki
raat ne dhoop ke bistar pe siyah-kaari ki
main vo dahqaan-e-junoon-khez hoon jis ne apne
jism ke khet mein zakhamon ki shjar-kaari ki
muddaton latki rahi mom ki zanjeer se laash
barf ke sukhe hue ped pe chingaari ki
chand saanson ke liye apna mudaava karke
tu ne amraaz-e-khuda-daad se gaddaari ki
kuchh taghayyur ki ye raatein bhi bahut lambi hain
kuchh meri qaum ko aadat nahin bedaari ki
sui ke chhed se haathi ka guzar mumkin hai
ise kahte hain takhayyul ki bahut baariki
tum ne lafzon ki numaish pe faqat dhyaan diya
main ne kaaghaz ke haseen jism pe gul-kaari ki
rooh par itr laga ke mere paas aaya kar
tere kirdaar se boo aati hai makkaari ki
bazm-e-danish mein na munh kholna apna hasrat
tujh se ummeed nahin mujh ko samajhdari ki
इश्क़ तारों से न महताब से दिलदारी की
रात ने धूप के बिस्तर पे सियह-कारी की
मैं वो दहक़ान-ए-जुनूँ-ख़ेज़ हूँ जिस ने अपने
जिस्म के खेत में ज़ख़्मों की शजर-कारी की
मुद्दतों लटकी रही मोम की ज़ंजीर से लाश
बर्फ़ के सूखे हुए पेड़ पे चिंगारी की
चंद साँसों के लिए अपना मुदावा करके
तू ने अमराज़-ए-ख़ुदा-दाद से ग़द्दारी की
कुछ तग़य्युर की ये रातें भी बहुत लम्बी हैं
कुछ मिरी क़ौम को आदत नहीं बेदारी की
सुई के छेद से हाथी का गुज़र मुमकिन है
इसे कहते हैं तख़य्युल की बहुत बारीकी
तुम ने लफ़्ज़ों की नुमाइश पे फ़क़त ध्यान दिया
मैं ने काग़ज़ के हसीं जिस्म पे गुल-कारी की
रूह पर इत्र लगा के मिरे पास आया कर
तेरे किरदार से बू आती है मक्कारी की
बज़्म-ए-दानिश में न मुँह खोलना अपना 'हसरत'
तुझ से उम्मीद नहीं मुझ को समझदारी की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lucky farooqi Hasrat
our suggestion based on Lucky farooqi Hasrat
As you were reading Valentine Shayari Shayari