chhod ummeed use ab nahin aana shaayad | छोड़ उम्मीद उसे अब नहीं आना शायद

  - Maaham Shah

chhod ummeed use ab nahin aana shaayad
aana bhi hai to nahin ham ko bataana shaayad

sabr aaya hai hamein ashk-fishaani se hi
mil hi jaaye koi us ko bhi bahaana shaayad

us ne achha hi kiya bin mujhe batlaaye gaya
jaan le leta meri us ka yun jaana shaayad

un ka apna bhi jo jaayega bina batlaaye
tab is ehsaas ko samjhega zamaana shaayad

vo ek din aayega dariya ke kinaare maaham
tab meri pyaas ko samjhega zamaana shaayad

छोड़ उम्मीद उसे अब नहीं आना शायद
आना भी है तो नहीं हम को बताना शायद

सब्र आया है हमें अश्क-फ़िशानी से ही
मिल ही जाए कोई उस को भी बहाना शायद

उस ने अच्छा ही किया बिन मुझे बतलाए गया
जान ले लेता मिरी उस का यूँ जाना शायद

उन का अपना भी जो जाएगा बिना बतलाए
तब इस एहसास को समझेगा ज़माना शायद

वो एक दिन आएगा दरिया के किनारे 'माहम'
तब मिरी प्यास को समझेगा ज़माना शायद

  - Maaham Shah

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maaham Shah

As you were reading Shayari by Maaham Shah

Similar Writers

our suggestion based on Maaham Shah

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari