hijr laazim hai to ye hijr nibhaaye jaao | हिज्र लाज़िम है तो ये हिज्र निभाए जाओ

  - Maaham Shah

hijr laazim hai to ye hijr nibhaaye jaao
ja rahe ho to koi rabt banaaye jaao

jo bhi is dil pe guzarti hai raqam karte raho
kaise mumkin hai kitaabo se bhulaaye jaao

shaayad ye tarz kisi rooh mein ghar kar jaaye
ain mumkin hai kisi dil mein basaaye jaao

ye meri raat bhi ummeed lagaaye hue hai
us ke daaman se koi subh lagaaye jaao

guftugoo karte agar saath mein hote kuchh der
jaate jaate mujhe ik sher sunaaye jaao

meri takhleeq ko awaaz bana do maaham
meri tahreer ki khaamoshi mitaaye jaao

हिज्र लाज़िम है तो ये हिज्र निभाए जाओ
जा रहे हो तो कोई रब्त बनाए जाओ

जो भी इस दिल पे गुज़रती है रक़म करते रहो
कैसे मुमकिन है किताबो से भुलाए जाओ

शायद ये तर्ज़ किसी रूह में घर कर जाए
ऐन मुमकिन है किसी दिल में बसाए जाओ

ये मिरी रात भी उम्मीद लगाए हुए है
उस के दामन से कोई सुब्ह लगाए जाओ

गुफ़्तुगू करते अगर साथ में होते कुछ देर
जाते जाते मुझे इक शेर सुनाए जाओ

मेरी तख़्लीक़ को आवाज़ बना दो 'माहम'
मेरी तहरीर की ख़ामोशी मिटाए जाओ

  - Maaham Shah

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maaham Shah

As you were reading Shayari by Maaham Shah

Similar Writers

our suggestion based on Maaham Shah

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari