kya sunaau dil-e-muztar ka fasana tum ko | क्या सुनाऊँ दिल-ए-मुज़्तर का फ़साना तुम को

  - Maaham Shah

kya sunaau dil-e-muztar ka fasana tum ko
main ne chaaha tha kabhi ek zamaana tum ko

ye jo tum eed pe bhi aate nahin laut ke ghar
koi chhutti ka nahin hota bahaana tum ko

bistar-e-marg pe maa thi to na the saamne tum
bahut hi mehnga pada hai chale jaana tum ko

gaav ke kacche makaanon mein ye pakke rishte
raas aayega nahin shehar ka khaana tum ko

har maheene ye naye note ye khat kya matlab
na manao nahin aata hai manana tum ko

ek kamra hai kiraye ka ye baazaari ghiza
shehar mein kaise mile shaahi thikaana tum ko

aakhiri khat ko padho us mein milega maaham
bhool jaane ka use koi bahaana tum ko

क्या सुनाऊँ दिल-ए-मुज़्तर का फ़साना तुम को
मैं ने चाहा था कभी एक ज़माना तुम को

ये जो तुम ईद पे भी आते नहीं लौट के घर
कोई छुट्टी का नहीं होता बहाना तुम को

बिस्तर-ए-मर्ग पे माँ थी तो न थे सामने तुम
बहुत ही महँगा पड़ा है चले जाना तुम को

गाँव के कच्चे मकानों में ये पक्के रिश्ते
रास आएगा नहीं शहर का खाना तुम को

हर महीने ये नए नोट ये ख़त क्या मतलब
न मनाओ नहीं आता है मनाना तुम को

एक कमरा है किराए का ये बाज़ारी ग़िज़ा
शहर में कैसे मिले शाही ठिकाना तुम को

आख़िरी ख़त को पढ़ो उस में मिलेगा 'माहम'
भूल जाने का उसे कोई बहाना तुम को

  - Maaham Shah

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maaham Shah

As you were reading Shayari by Maaham Shah

Similar Writers

our suggestion based on Maaham Shah

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari