rasm hai ye duniya ki khel hai ye qismat ka | रस्म है ये दुनिया की खेल है ये क़िस्मत का - Maaham Shah

rasm hai ye duniya ki khel hai ye qismat ka
chahte jise ham hain vo nahin hai chaahat ka

jis ne hijr kaata hai bas vo jaan saka hai
zakham sil nahin saka dard hai vo shiddat ka

aankh mar to jaati hai jeene ki tamannaa mein
aur vo nahin marta jo hai khwaab hasrat ka

jo likha lakeeron mein us ko poora hona hai
waqt tal nahin saka har ghadi museebat ka

sirf qasmen wa'de hain aur waqt padne par
saath bhi nahin deta ab koi mohabbat ka

रस्म है ये दुनिया की खेल है ये क़िस्मत का
चाहते जिसे हम हैं वो नहीं है चाहत का

जिस ने हिज्र काटा है बस वो जान सकता है
ज़ख़्म सिल नहीं सकता दर्द है वो शिद्दत का

आँख मर तो जाती है जीने की तमन्ना में
और वो नहीं मरता जो है ख़्वाब हसरत का

जो लिखा लकीरों में उस को पूरा होना है
वक़्त टल नहीं सकता हर घड़ी मुसीबत का

सिर्फ़ क़स्में वा'दे हैं और वक़्त पड़ने पर
साथ भी नहीं देता अब कोई मोहब्बत का

- Maaham Shah
0 Likes

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maaham Shah

As you were reading Shayari by Maaham Shah

Similar Writers

our suggestion based on Maaham Shah

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari