husn ke pyaar ke sukh dukh ke taraane gum hain | हुस्न के प्यार के सुख दुख के तराने गुम हैं

  - Madhosh Bilgrami

husn ke pyaar ke sukh dukh ke taraane gum hain
waqt ki god mein kya kya na khazaane gum hain

door tak gham ka dhuaan ek bhayaanak sa samaan
ab ruken bhi to kahaan saare thikaane gum hain

kis ko maaloom hai taarikh ke tah-khaano mein
kitne khwaabon ke jahaan kitne zamaane gum hain

koi may-khaana raha na koi veeraana raha
do hi bas apne thikaane the thikaane gum hain

saaz bhi rooth gaye taar bhi sab toot gaye
bahr-e-khaamosh mein madhosh taraane gum hain

हुस्न के प्यार के सुख दुख के तराने गुम हैं
वक़्त की गोद में क्या क्या न ख़ज़ाने गुम हैं

दूर तक ग़म का धुआँ एक भयानक सा समाँ
अब रुकें भी तो कहाँ सारे ठिकाने गुम हैं

किस को मालूम है तारीख़ के तह-ख़ानों में
कितने ख़्वाबों के जहाँ कितने ज़माने गुम हैं

कोई मय-ख़ाना रहा न कोई वीराना रहा
दो ही बस अपने ठिकाने थे ठिकाने गुम हैं

साज़ भी रूठ गए तार भी सब टूट गए
बहर-ए-ख़ामोश में 'मदहोश' तराने गुम हैं

  - Madhosh Bilgrami

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Madhosh Bilgrami

As you were reading Shayari by Madhosh Bilgrami

Similar Writers

our suggestion based on Madhosh Bilgrami

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari