ik nayi subh ka paighaam liye firte hain
ham mohabbat se bhara jaam liye firte hain
apne dukh-sukh ko samjhte hain muqaddar ka qusoor
haaye vo log jo awhaam liye firte hain
kal pahunch jaayenge phir subh ke darwaaze tak
kya hua aaj agar shaam liye firte hain
kaise insaan hain ki insaan se sarokaar nahin
chand toote hue asnaam liye firte hain
thartharaate se simtate se ye mubham saaye
doobti shaam ka anjaam liye firte hain
इक नई सुब्ह का पैग़ाम लिए फिरते हैं
हम मोहब्बत से भरा जाम लिए फिरते हैं
अपने दुख-सुख को समझते हैं मुक़द्दर का क़ुसूर
हाए वो लोग जो औहाम लिए फिरते हैं
कल पहुँच जाएँगे फिर सुब्ह के दरवाज़े तक
क्या हुआ आज अगर शाम लिए फिरते हैं
कैसे इंसाँ हैं कि इंसाँ से सरोकार नहीं
चंद टूटे हुए असनाम लिए फिरते हैं
थरथराते से सिमटते से ये मुबहम साए
डूबती शाम का अंजाम लिए फिरते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madhosh Bilgrami
our suggestion based on Madhosh Bilgrami
As you were reading Maikada Shayari Shayari