nazar hai phir bhi nazaaron mein jee nahin lagta
udaas dil hai bahaaron mein jee nahin lagta
makaan hai baagh hai mehmaan hain dhoom hai baahar
mera mizaaj hazaaron mein jee nahin lagta
na vo fazaa hai na vo rang na vo tasveerein
vo kal ke pyaare dayaaron mein jee nahin lagta
ye raah-giiroen ke chehre aziz lagte hain
madhosh ab hamein yaaron mein jee nahin lagta
नज़र है फिर भी नज़ारों में जी नहीं लगता
उदास दिल है बहारों में जी नहीं लगता
मकाँ है बाग़ है मेहमाँ हैं धूम है बाहर
मेरा मिज़ाज हज़ारों में जी नहीं लगता
न वो फ़ज़ा है न वो रंग न वो तस्वीरें
वो कल के प्यारे दयारों में जी नहीं लगता
ये राह-गीरों के चेहरे अज़ीज़ लगते हैं
'मदहोश' अब हमें यारों में जी नहीं लगता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madhosh Bilgrami
our suggestion based on Madhosh Bilgrami
As you were reading Festive Shayari Shayari