meri saanson se yun aaye bheenee bheenee aag ki khushboo
jogi ki dhooni se jaise udti hai bairaag ki khushboo
maa ka haath pakad kar jis se ho kar maile jaate the
mahuaa ke us baagh se aaye maa ke surile raag ki khushboo
maa ki gujhiyaa meethe paarle poori aur kachaudi sondhi
feeki holi yaad dilaae tesoo waale faag ki khushboo
jis mein tu ne haath the dhoye kacche doodh sa mahke hai
teri khushboo se milti hai jharne ke is jhaag ki khushboo
sab ke choolhe alag alag hain jab se ammaan guzri hain
ujde chauke se aati hai ammaan waale saag ki khushboo
मेरी साँसों से यूँ आए भीनी भीनी आग की ख़ुशबू
जोगी की धूनी से जैसे उड़ती है बैराग की ख़ुशबू
माँ का हाथ पकड़ कर जिस से हो कर मैले जाते थे
महुवा के उस बाग़ से आए माँ के सुरीले राग की ख़ुशबू
माँ की गुझिया मीठे पार्ले पूरी और कचौड़ी सोंधी
फीकी होली याद दिलाए टेसू वाले फाग की ख़ुशबू
जिस में तू ने हाथ थे धोए कच्चे दूध सा महके है
तेरी ख़ुशबू से मिलती है झरने के इस झाग की ख़ुशबू
सब के चूल्हे अलग अलग हैं जब से अम्माँ गुज़री हैं
उजड़े चौके से आती है अम्माँ वाले साग की ख़ुशबू
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madhurima Singh
our suggestion based on Madhurima Singh
As you were reading Aag Shayari Shayari