iraade hi pairo'n ke chaale hue hain
safar haadson ke hawaale hue hain
tamannaa bahut thi khushi mil na paai
farzi mein jale haath kaale hue hain
koi gham nahin apne jalne ka ham ko
tiri raah mein to ujaale hue hain
na toote koi khwaab palkon se gir kar
chhalakte hain nain ham sambhaale hue hain
abhi tak hai saanson mein khushboo gulon ki
chaman se kabhi ke nikale hue hain
gire jaane kis pahluu aa kar zameen par
ye jeevan ka sikka uchaale hue hain
इरादे ही पैरों के छाले हुए हैं
सफ़र हादसों के हवाले हुए हैं
तमन्ना बहुत थी ख़ुशी मिल न पाई
हवन में जले हाथ काले हुए हैं
कोई ग़म नहीं अपने जलने का हम को
तिरी राह में तो उजाले हुए हैं
न टूटे कोई ख़्वाब पलकों से गिर कर
छलकते हैं नैन हम सँभाले हुए हैं
अभी तक है साँसों में ख़ुशबू गुलों की
चमन से कभी के निकाले हुए हैं
गिरे जाने किस पहलू आ कर ज़मीं पर
ये जीवन का सिक्का उछाले हुए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madhurima Singh
our suggestion based on Madhurima Singh
As you were reading Environment Shayari Shayari