kuchh safar ka ghubaar jaisa tha
saanson par ik udhaar jaisa tha
yak-b-yak us ka aise chup hona
cheekh thi ya pukaar jaisa tha
jo kaha tum ne aur suna main ne
umr bhar ik khumaar jaisa tha
naam jo hont par nahin aaya
dhadkano mein shumaar jaisa tha
naam tera likha tha ungli se
par shilaa par ubhaar jaisa tha
neem se chaand chan ke bikhra tha
chaandni ko bukhaar jaisa tha
chot kha ke bhi gungunata raha
mera dil bhi sitaar jaisa tha
teri chaahat ka jab bharam toota
kuchh nashe ke utaar jaisa tha
yaadon ke sab kagaar dhahte gaye
waqt bhi tez dhaar jaisa tha
dil pe ik bojh le ke jeeti rahi
jo gunaahon ke bhaar jaisa tha
कुछ सफ़र का ग़ुबार जैसा था
साँसों पर इक उधार जैसा था
यक-ब-यक उस का ऐसे चुप होना
चीख़ थी या पुकार जैसा था
जो कहा तुम ने और सुना मैं ने
उम्र भर इक ख़ुमार जैसा था
नाम जो होंट पर नहीं आया
धड़कनों में शुमार जैसा था
नाम तेरा लिखा था उँगली से
पर शिला पर उभार जैसा था
नीम से चाँद छन के बिखरा था
चाँदनी को बुख़ार जैसा था
चोट खा के भी गुनगुनाता रहा
मेरा दिल भी सितार जैसा था
तेरी चाहत का जब भरम टूटा
कुछ नशे के उतार जैसा था
यादों के सब कगार ढहते गए
वक़्त भी तेज़ धार जैसा था
दिल पे इक बोझ ले के जीती रही
जो गुनाहों के भार जैसा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madhurima Singh
our suggestion based on Madhurima Singh
As you were reading Waqt Shayari Shayari