kya sitam hai ki sitam ham pe vo kar jaate hain
apne saaye se jo tanhaai mein dar jaate hain
laut ke aana hi padta hai unhen saikdon baar
tere kooche se jo ik baar guzar jaate hain
gham ke maaron ko bhi aati hai kabhi khud pe hasi
kabhi sehra mein bhi kuchh phool bikhar jaate hain
yaad rah jaate hain ahbaab ke kuchh lutf-o-karam
din museebat ke bahr-haal guzar jaate hain
paarsaai na jataao ki ye hai may-khaana
achhe achhe yahan sheeshe mein utar jaate hain
tum pashemaan na hon tum par koi ilzaam nahin
marne waale kabhi be-maut bhi mar jaate hain
meri bigdi hui taqdeer bane ya na bane
un ke bikhre hue gesu to sanwar jaate hain
dafn ho kar bhi kahi dabte hain armaan haseen
ban ke gul seena-e-gulshan pe ubhar jaate hain
jaan de dete hain jo baat ke hote hain dhani
aur honge jo zabaan de ke mukar jaate hain
le ke ummeed yahan aaye the kya kya raunaq
aap ki bazm se kya le ke asar jaate hain
क्या सितम है कि सितम हम पे वो कर जाते हैं
अपने साए से जो तन्हाई में डर जाते हैं
लौट के आना ही पड़ता है उन्हें सैंकड़ों बार
तेरे कूचे से जो इक बार गुज़र जाते हैं
ग़म के मारों को भी आती है कभी ख़ुद पे हँसी
कभी सहरा में भी कुछ फूल बिखर जाते हैं
याद रह जाते हैं अहबाब के कुछ लुत्फ़-ओ-करम
दिन मुसीबत के बहर-हाल गुज़र जाते हैं
पारसाई न जताओ कि ये है मय-ख़ाना
अच्छे अच्छे यहाँ शीशे में उतर जाते हैं
तुम पशेमाँ न हों तुम पर कोई इल्ज़ाम नहीं
मरने वाले कभी बे-मौत भी मर जाते हैं
मेरी बिगड़ी हुई तक़दीर बने या न बने
उन के बिखरे हुए गेसू तो सँवर जाते हैं
दफ़्न हो कर भी कहीं दबते हैं अरमान हसीं
बन के गुल सीना-ए-गुलशन पे उभर जाते हैं
जान दे देते हैं जो बात के होते हैं धनी
और होंगे जो ज़बाँ दे के मुकर जाते हैं
ले के उम्मीद यहाँ आए थे क्या क्या 'रौनक़'
आप की बज़्म से क्या ले के असर जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mahboob Khan Raunaq
our suggestion based on Mahboob Khan Raunaq
As you were reading Qismat Shayari Shayari