tamaam umr ke sood o ziyaan ka baar liye | तमाम उम्र के सूद ओ ज़ियाँ का बार लिए?

  - Mahmood Ayaz

tamaam umr ke sood o ziyaan ka baar liye
har inqilaab zamaane se munh chhupaaye hue
hayaat o marg ki sarhad pe neem-khwaabida
main muntazir tha
masarrat ki koi dhundli kiran
zamaan makaan se pare ajnabi jazeeron se
dam-e-sehar mujhe khwaabon mein dhundti aaye
fishaar-e-waqt ki sarhad se door le jaaye

khuli jo aankh
tuloo-e-sehr ne hans ke kaha
hisaar-e-waqt se aage koi maqaam nahin
samajh sako to zamaan o makaan ki qaid nahin
samajh sako
to yahi zaat be-karaan bhi hai

तमाम उम्र के सूद ओ ज़ियाँ का बार लिए?
हर इंक़लाब ज़माने से मुँह छुपाए हुए
हयात ओ मर्ग की सरहद पे नीम-ख़्वाबीदा
मैं मुंतज़िर था
मसर्रत की कोई धुँदली किरन
ज़माँ मकाँ से परे अजनबी जज़ीरों से
दम-ए-सहर मुझे ख़्वाबों में ढूँडती आए
फ़िशार-ए-वक़्त की सरहद से दूर ले जाए

खुली जो आँख
तुलू-ए-सहर ने हँस के कहा
हिसार-ए-वक़्त से आगे कोई मक़ाम नहीं
समझ सको, तो ज़मान ओ मकाँ की क़ैद नहीं
समझ सको
तो यही ज़ात बे-कराँ भी है

  - Mahmood Ayaz

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Mahmood Ayaz

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari