yun rag o pay mein ajal utri hai | यूँ रग ओ पय में अजल उतरी है

  - Mahmood Ayaz

yun rag o pay mein ajal utri hai
haath saakit hain dua kya maange
aankh khaamosh hai kya dekhegi
hont khwaabida hain kya boleinge

ek sannaata abd-taba-abd
johd-e-yak-umr ka haasil thehre
dard ka shola rag-e-jaan ka lahu
jins-e-be-maaya the be-maaya rahe
teera khaak un ki khareedaar bane
nikhat-e-gul ki tarah aawaara
boo-e-jaan wusaat-e-aafaq mein gum
yak kaf-e-khaak hai vo bhi kab tak
subh ki os se aankhen dho lo
kamre se jhaank ke baahar dekho
aise masroof tag-o-taaz hain sab
jaise kal un ke muqaddar mein nahin

main tamaashaai hoon har manzar ka
jaise kal mere muqaddar mein nahin

यूँ रग ओ पय में अजल उतरी है
हाथ साकित हैं दुआ क्या माँगें
आँख ख़ामोश है, क्या देखेगी
होंट ख़्वाबीदा हैं क्या बोलेंगे

एक सन्नाटा अबद-ताबा-अबद
जोहद-ए-यक-उम्र का हासिल ठहरे
दर्द का शोला रग-ए-जाँ का लहू
जिंस-ए-बे-माया थे बे-माया रहे
तीरा ख़ाक उन की ख़रीदार बने
निकहत-ए-गुल की तरह आवारा
बू-ए-जाँ वुसअत-ए-आफ़ाक़ में गुम
यक कफ़-ए-ख़ाक है वो भी कब तक?
सुब्ह की ओस से आँखें धो लो
कमरे से झाँक के बाहर देखो
ऐसे मसरूफ़ तग-ओ-ताज़ हैं सब
जैसे कल उन के मुक़द्दर में नहीं

मैं तमाशाई हूँ हर मंज़र का
जैसे कल मेरे मुक़द्दर में नहीं

  - Mahmood Ayaz

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Mahmood Ayaz

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari