nikla janaaza sajke jo yun teri laash ka
bikhra ye dil bhi aise makaan jaise taash ka
jazbaat qatl ho gaye armaan bikhar gaye
ab silsila koi nahin yaadon ke paash ka
kar de koi kamaal tu aa kar khuda mere
hota nahin hai khatm ye mausam talash ka
har samt raunqen hain fazaayein bhi khushgawaar
jab se khila hai phool ye dil mein palaash ka
maqbool ho gaya teri moorat taraash kar
poora hua ye khwaab bhi mujh but taraash ka
saansey ruki hain pyaar ke do bol sun saken
muddat se intezar hai us lafz-e-kaash ka
meena badhe hain paap zameen par kuchh is qadar
ab aa gaya ho jaise ki mausam vinaash ka
निकला जनाज़ा सजके जो यूँ तेरी लाश का
बिखरा ये दिल भी ऐसे मकाँ जैसे ताश का
जज़्बात क़त्ल हो गए अरमाँ बिखर गए
अब सिलसिला कोई नहीं यादों के पाश का
कर दे कोई कमाल तू आ कर ख़ुदा मेरे
होता नहीं है ख़त्म ये मौसम तलाश का
हर सम्त रौनक़ें हैं फ़ज़ाएँ भी ख़ुशगवार
जब से खिला है फूल ये दिल में पलाश का
मक़बूल हो गया तेरी मूरत तराश कर
पूरा हुआ ये ख़्वाब भी मुझ बुत तराश का
साँसे रुकी हैं प्यार के दो बोल सुन सकें
मुद्दत से इंतज़ार है उस लफ़्ज़-ए-काश का
मीना बढ़े हैं पाप ज़मीं पर कुछ इस क़दर
अब आ गया हो जैसे कि मौसम विनाश का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Mausam Shayari Shayari