tanhaa hi ham rahe sada apnon kii bheed mein
jaise ki tabassum rahe ashkon kii bheed mein
uljhi hai zindagi meri qismat hai bewafa
gham kii hai teergi bhi ujaalon kii bheed mein
kaisa hai shahr jismein na manzil na raah hai
dera hai maut ka yahan sajdon kii bheed mein
ghaafil nashe mein feel hai madhosh hai shatar
saalar baawla khada pyaaron kii bheed mein
rote hi ham rahe yahan gardan ko kham kiye
pehchaan apni kho gai logon kii bheed mein
manzar ye tabaahi ke tamasha hain dekhte
aate hain zalzale kai khushiyon kii bheed mein
toda hai dil zamaane ne majboor hua ishq
parwaah kaun karta hai zakhamon kii bheed mein
bijli giri hai aisi ki meena ka ghar jala
dekhoon dhuaan hi bas yahan aahon kii bheed mein
तन्हा ही हम रहे सदा अपनों की भीड़ में
जैसे कि तबस्सुम रहे अश्कों की भीड़ में
उलझी है ज़िंदगी मेरी क़िस्मत है बेवफ़ा
ग़म की है तीरगी भी उजालों की भीड़ में
कैसा है शह्र जिसमें न मंज़िल न राह है
डेरा है मौत का यहाँ सजदों की भीड़ में
ग़ाफ़िल नशे में फ़ील है मदहोश है शतर
सालार बावला खड़ा प्यादों की भीड़ में
रोते ही हम रहे यहाँ गर्दन को ख़म किए
पहचान अपनी खो गई लोगों की भीड़ में
मंज़र ये तबाही के तमाशा हैं देखते
आते हैं ज़लज़ले कई ख़ुशियों की भीड़ में
तोड़ा है दिल ज़माने ने मजबूर हुआ इश्क़
परवाह कौन करता है ज़ख़्मों की भीड़ में
बिजली गिरी है ऐसी कि मीना का घर जला
देखूँ धुआँ ही बस यहाँ आहों की भीड़ में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Raasta Shayari Shayari