aah ko chahiye ik umr asar hote tak | आह को चाहिए इक उम्र असर होते तक

  - Mirza Ghalib

aah ko chahiye ik umr asar hote tak
kaun jeeta hai tiri zulf ke sar hote tak

daam-e-har-mauj mein hai halka-e-sad-kaam-e-nahang
dekhen kya guzre hai qatre pe guhar hote tak

aashiqi sabr-talab aur tamannaa betaab
dil ka kya rang karoon khoon-e-jigar hote tak

ta-qayamat shab-e-furqat mein guzar jaayegi umr
saath din ham pe bhi bhari hain sehar hote tak

ham ne maana ki taghaaful na karoge lekin
khaak ho jaayenge ham tum ko khabar hote tak

paratav-e-khur se hai shabnam ko fana ki ta'leem
main bhi hoon ek inaayat ki nazar hote tak

yak nazar besh nahin fursat-e-hasti ghaafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hote tak

gham-e-hasti ka asad kis se ho juz marg ilaaj
sham'a har rang mein jaltee hai sehar hote tak

आह को चाहिए इक उम्र असर होते तक
कौन जीता है तिरी ज़ुल्फ़ के सर होते तक

दाम-ए-हर-मौज में है हल्क़ा-ए-सद-काम-ए-नहंग
देखें क्या गुज़रे है क़तरे पे गुहर होते तक

आशिक़ी सब्र-तलब और तमन्ना बेताब
दिल का क्या रंग करूँ ख़ून-ए-जिगर होते तक

ता-क़यामत शब-ए-फ़ुर्क़त में गुज़र जाएगी उम्र
सात दिन हम पे भी भारी हैं सहर होते तक

हम ने माना कि तग़ाफ़ुल न करोगे लेकिन
ख़ाक हो जाएँगे हम तुम को ख़बर होते तक

परतव-ए-ख़ुर से है शबनम को फ़ना की ता'लीम
मैं भी हूँ एक इनायत की नज़र होते तक

यक नज़र बेश नहीं फ़ुर्सत-ए-हस्ती ग़ाफ़िल
गर्मी-ए-बज़्म है इक रक़्स-ए-शरर होते तक

ग़म-ए-हस्ती का 'असद' किस से हो जुज़ मर्ग इलाज
शम्अ हर रंग में जलती है सहर होते तक

  - Mirza Ghalib

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari