deewaangi se dosh pe zunnar bhi nahin | दीवानगी से दोश पे ज़ुन्नार भी नहीं - Mirza Ghalib

deewaangi se dosh pe zunnar bhi nahin
ya'ni hamaare jeb mein ik taar bhi nahin

dil ko niyaaz-e-hasrat-e-deedaar kar chuke
dekha to hum mein taqat-e-deedaar bhi nahin

milna tira agar nahin aasaan to sahal hai
dushwaar to yahi hai ki dushwaar bhi nahin

be-ishq umr kat nahin sakti hai aur yaa
taqat b-qadr-e-lazzat-e-aazaar bhi nahin

shoreedagi ke haath se hai sar wabaal-e-dosh
sehra mein ai khuda koi deewaar bhi nahin

gunjaish-e-adawat-e-aghyar yak taraf
yaa dil mein zof se havas-e-yaar bhi nahin

dar naala-ha-e-zaar se mere khuda ko maan
aakhir navaa-e-murgh-e-giriftaar bhi nahin

dil mein hai yaar ki saf-e-mizgaan se roo-kashi
haalaanki taqat-e-khalish-e-khaar bhi nahin

is saadgi pe kaun na mar jaaye ai khuda
ladte hain aur haath mein talwaar bhi nahin

dekha asad ko khalwat-o-jalwat mein baar-ha
deewaana gar nahin hai to hushyaar bhi nahin

दीवानगी से दोश पे ज़ुन्नार भी नहीं
या'नी हमारे जेब में इक तार भी नहीं

दिल को नियाज़-ए-हसरत-ए-दीदार कर चुके
देखा तो हम में ताक़त-ए-दीदार भी नहीं

मिलना तिरा अगर नहीं आसाँ तो सहल है
दुश्वार तो यही है कि दुश्वार भी नहीं

बे-इश्क़ उम्र कट नहीं सकती है और याँ
ताक़त ब-क़दर-ए-लज़्ज़त-ए-आज़ार भी नहीं

शोरीदगी के हाथ से है सर वबाल-ए-दोश
सहरा में ऐ ख़ुदा कोई दीवार भी नहीं

गुंजाइश-ए-अदावत-ए-अग़्यार यक तरफ़
याँ दिल में ज़ोफ़ से हवस-ए-यार भी नहीं

डर नाला-हा-ए-ज़ार से मेरे ख़ुदा को मान
आख़िर नवा-ए-मुर्ग़-ए-गिरफ़्तार भी नहीं

दिल में है यार की सफ़-ए-मिज़्गाँ से रू-कशी
हालाँकि ताक़त-ए-ख़लिश-ए-ख़ार भी नहीं

इस सादगी पे कौन न मर जाए ऐ ख़ुदा
लड़ते हैं और हाथ में तलवार भी नहीं

देखा 'असद' को ख़ल्वत-ओ-जल्वत में बार-हा
दीवाना गर नहीं है तो हुश्यार भी नहीं

- Mirza Ghalib
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari