ye ham jo hijr mein deewar-o-dar ko dekhte hain
kabhi saba ko kabhi nama-bar ko dekhte hain
vo aaye ghar mein hamaare khuda ki qudrat hai
kabhi ham un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain
nazar lage na kahi us ke dast-o-baazu ko
ye log kyun mere zakham-e-jigar ko dekhte hain
tire jawaahir-e-turf-e-kulah ko kya dekhen
ham ouj-e-taala-e-laala-o-guhar ko dekhte hain
ये हम जो हिज्र में दीवार-ओ-दर को देखते हैं
कभी सबा को कभी नामा-बर को देखते हैं
वो आए घर में हमारे ख़ुदा की क़ुदरत है
कभी हम उन को कभी अपने घर को देखते हैं
नज़र लगे न कहीं उस के दस्त-ओ-बाज़ू को
ये लोग क्यूँ मिरे ज़ख़्म-ए-जिगर को देखते हैं
तिरे जवाहिर-ए-तुर्फ़-ए-कुलह को क्या देखें
हम औज-ए-ताला-ए-लाला-ओ-गुहर को देखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Nature Shayari Shayari