na hoga yak-bayaabaan maandagi se zauq kam mera | न होगा यक-बयाबाँ माँदगी से ज़ौक़ कम मेरा

  - Mirza Ghalib

na hoga yak-bayaabaan maandagi se zauq kam mera
habaab-e-mauja-e-raftaar hai naqsh-e-qadam mera

mohabbat thi chaman se lekin ab ye be-dimaaghi hai
ki mauj-e-boo-e-gul se naak mein aata hai dam mera

rah-e-khwaabida thi gardan-kash-e-yak-dars-e-aagaahi
zameen ko sailee-e-ustaad hai naqsh-e-qadam mera

suraagh-aawaaraa-e-arz-e-do-aalam shor-e-mahshar hoon
par-afshaan hai ghubaar aa soo-e-sehraa-e-adam mera

hawaa-e-subh yak-aalam garebaan chaaki-e-gul hai
dahan-e-zakhm paida kar agar khaata hai gham mera

na ho vahshat-kash-e-dars-e-sharaab-e-satr-e-aagaahi
main gard-e-raah hoon be-muddaa hai pech-o-kham mera

asad vahshat-parast-e-gosha-e-tanhaai-e-dil hai
b-rang-e-mauj-e-may khemyaaza-e-saaghar hai ram mera

न होगा यक-बयाबाँ माँदगी से ज़ौक़ कम मेरा
हबाब-ए-मौजा-ए-रफ़्तार है नक़्श-ए-क़दम मेरा

मोहब्बत थी चमन से लेकिन अब ये बे-दिमाग़ी है
कि मौज-ए-बू-ए-गुल से नाक में आता है दम मेरा

रह-ए-ख़्वाबीदा थी गर्दन-कश-ए-यक-दर्स-ए-आगाही
ज़मीं को सैली-ए-उस्ताद है नक़्श-ए-क़दम मेरा

सुराग़-आवारा-ए-अर्ज़-ए-दो-आलम शोर-ए-महशर हूँ
पर-अफ़्शाँ है ग़ुबार आँ सू-ए-सहरा-ए-अदम मेरा

हवा-ए-सुब्ह यक-आलम गरेबाँ चाकी-ए-गुल है
दहान-ए-ज़ख़्म पैदा कर अगर खाता है ग़म मेरा

न हो वहशत-कश-ए-दर्स-ए-सराब-ए-सत्र-ए-आगाही
मैं गर्द-ए-राह हूँ बे-मुद्दआ है पेच-ओ-ख़म मेरा

'असद' वहशत-परस्त-ए-गोशा-ए-तन्हाई-ए-दिल है
ब-रंग-ए-मौज-ए-मय ख़म्याज़ा-ए-साग़र है रम मेरा

  - Mirza Ghalib

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari