gila hai shauq ko dil mein bhi tangi-e-jaa ka
guhar mein mahav hua iztiraab dariya ka
ye jaanta hoon ki tu aur paasukh-e-maktoob
magar sitam-zada hoon zauq-e-khaama-farsaa ka
hinaa-e-paa-e-khizaan hai bahaar agar hai yahi
davaam-e-kulft-e-khaatir hai aish duniya ka
gham-e-firaq mein takleef-e-sair-e-baagh na do
mujhe dimaagh nahin khanda-ha-e-beja ka
hanooz mahrami-e-husn ko tarasta hoon
kare hai har-bun-e-moo kaam chashm-e-beena ka
dil us ko pehle hi naaz-o-ada se de baithe
hamein dimaagh kahaan husn ke taqaza ka
na kah ki giryaa ba-miqaadar-e-hasrat-e-dil hai
meri nigaah mein hai jam-o-kharch dariya ka
falak ko dekh ke karta hoon us ko yaad asad
jafaa mein us ki hai andaaz kaar-farma ka
mera shumool har ik dil ke pech-o-taab mein hai
main muddaa hoon tapish-naama-e-tamanna ka
mili na wusa't-e-jaulan yak junoon ham ko
adam ko le gaye dil mein ghubaar sehra ka
गिला है शौक़ को दिल में भी तंगी-ए-जा का
गुहर में महव हुआ इज़्तिराब दरिया का
ये जानता हूँ कि तू और पासुख़-ए-मकतूब
मगर सितम-ज़दा हूँ ज़ौक़-ए-ख़ामा-फ़रसा का
हिना-ए-पा-ए-ख़िज़ाँ है बहार अगर है यही
दवाम-ए-कुल्फ़त-ए-ख़ातिर है ऐश दुनिया का
ग़म-ए-फ़िराक़ में तकलीफ़-ए-सैर-ए-बाग़ न दो
मुझे दिमाग़ नहीं ख़ंदा-हा-ए-बेजा का
हनूज़ महरमी-ए-हुस्न को तरसता हूँ
करे है हर-बुन-ए-मू काम चश्म-ए-बीना का
दिल उस को पहले ही नाज़-ओ-अदा से दे बैठे
हमें दिमाग़ कहाँ हुस्न के तक़ाज़ा का
न कह कि गिर्या ब-मिक़दार-ए-हसरत-ए-दिल है
मिरी निगाह में है जम-ओ-ख़र्च दरिया का
फ़लक को देख के करता हूँ उस को याद 'असद'
जफ़ा में उस की है अंदाज़ कार-फ़रमा का
मिरा शुमूल हर इक दिल के पेच-ओ-ताब में है
मैं मुद्दआ हूँ तपिश-नामा-ए-तमन्ना का
मिली न वुसअ'त-ए-जौलान यक जुनूँ हम को
अदम को ले गए दिल में ग़ुबार सहरा का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Masti Shayari Shayari