naqsh fariyaadi hai kis ki shokhi-e-tahreer ka | नक़्श फ़रियादी है किस की शोख़ी-ए-तहरीर का - Mirza Ghalib

naqsh fariyaadi hai kis ki shokhi-e-tahreer ka
kaaghazi hai pairhan har paikar-e-tasveer ka

kaav kaav-e-sakht-jaani haae-tanhaai na pooch
subh karna shaam ka laana hai joo-e-sheer ka

jazba-e-be-ikhtiyaar-e-shauq dekha chahiye
seena-e-shamsheer se baahar hai dam shamsheer ka

aagahi daam-e-shunidan jis qadar chahe bichhaaye
muddaa anqa hai apne aalam-e-taqreer ka

bas-ki hoon ghalib aseeri mein bhi aatish zer-e-paa
moo-e-aatish deeda hai halka meri zanjeer ka

aatishi-pa hoon gudaaz-e-vehshat-e-zindaaan na pooch
moo-e-aatish deeda hai har halka yaa zanjeer ka

shokhi-e-nairang said-e-vehshat-e-taavus hai
daam-e-sabza mein hai parwaaz-e-chaman taskheer ka

lazzat-e-eejaad-e-naaz afsoon-e-arz-zauq-e-qatl
na'l aatish mein hai tegh-e-yaar se nakhchir ka

khisht pusht-e-dast-e-izz o qaaleb aaghosh-e-widaa
pur hua hai sail se paimaana kis ta'aamir ka

wahshat-e-khwaab-e-adam shor-e-tamasha hai asad
jo maza jauhar nahin aaina-e-taabeer ka

नक़्श फ़रियादी है किस की शोख़ी-ए-तहरीर का
काग़ज़ी है पैरहन हर पैकर-ए-तस्वीर का

काव काव-ए-सख़्त-जानी हाए-तन्हाई न पूछ
सुब्ह करना शाम का लाना है जू-ए-शीर का

जज़्बा-ए-बे-इख़्तियार-ए-शौक़ देखा चाहिए
सीना-ए-शमशीर से बाहर है दम शमशीर का

आगही दाम-ए-शुनीदन जिस क़दर चाहे बिछाए
मुद्दआ अन्क़ा है अपने आलम-ए-तक़रीर का

बस-कि हूँ 'ग़ालिब' असीरी में भी आतिश ज़ेर-ए-पा
मू-ए-आतिश दीदा है हल्क़ा मिरी ज़ंजीर का

आतिशीं-पा हूँ गुदाज़-ए-वहशत-ए-ज़िन्दाँ न पूछ
मू-ए-आतिश दीदा है हर हल्क़ा याँ ज़ंजीर का

शोख़ी-ए-नैरंग सैद-ए-वहशत-ए-ताऊस है
दाम-ए-सब्ज़ा में है परवाज़-ए-चमन तस्ख़ीर का

लज़्ज़त-ए-ईजाद-ए-नाज़ अफ़सून-ए-अर्ज़-ज़ौक़-ए-क़त्ल
ना'ल आतिश में है तेग़-ए-यार से नख़चीर का

ख़िश्त पुश्त-ए-दस्त-ए-इज्ज़ ओ क़ालिब आग़ोश-ए-विदा'अ
पुर हुआ है सैल से पैमाना किस ता'मीर का

वहशत-ए-ख़्वाब-ए-अदम शोर-ए-तमाशा है 'असद'
जो मज़ा जौहर नहीं आईना-ए-ताबीर का

- Mirza Ghalib
1 Like

Qaid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Qaid Shayari Shayari