bhool kar bhool ye kar gaye
khwaah-makhaah us pe ham mar gaye
chhod aaye the jis raah ko
chal ke phir us pe hi ghar gaye
jaane kab hogi barsaat ye
aaina dekh ham dar gaye
khushk theen aankhen ye par magar
dard se yaar ham bhar gaye
भूल कर भूल ये कर गए
ख़्वाह-मख़ाह उस पे हम मर गए
छोड़ आए थे जिस राह को
चल के फिर उस पे ही घर गए
जाने कब होगी बरसात ये
आइना देख हम डर गए
खुश्क थीं आँखें ये पर मगर
दर्द से यार हम भर गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading Baarish Shayari Shayari